Love Poems, Love Poetry



Aaj phir rooh mein ek barq si lahraati hai
Dil ki gehrai se rone ki sada aati hai

Yun chaTakti hain KHarabaat mein jaise kaliyan
Tishnagi saghar-e-labrez se Takraati hai

Shola-e-gham ki lapak aur mera nazuk sa mizaj
Mujh ko fitrat ke rawaiyye pe hansi aati hai

Maut ek amr-e-musallam hai to phir ai saqi
Rooh kyun zist ke aalam se ghabraati hai

So bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai
Ab to rah rah ke sitaron ko bhi neend aati hai

Aur to dil ko nahi hai koi takleef ‘adam’
Han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai